Friday, November 18, 2016

Life Partner : jeevansaathi

Mera pehla pyaar tum se hai
Meri pehli yaari tum

Mere din ka shor sharaba tumse hai
Meri duniyadaari tum

Meri her subeh ki shuruwat tum se hai
Meri her raat ki lori tum

Mere atmvishwas ki neev tumse hai
Mera buland irada tum

Meri her pareshani ka samadhan tumse hai
Meri takat aur himmat tum

Meri her muskurahat tumse hai
Meri her khushi tum

Tum bin adhuri meri haathon ki lakire
Meri zindagi ka saar tum


---------------------------------------------

Yaad kerke mehboob ko,  jara aankhein to band ker. Gar mahobbat sachi hai teri, to band aankhon men bhi usi ka aks hoga.


---------------------------------------------

Jo aankhon se piye jam, use maykhane ki chah nahi hoti. Besharte Besharte jam pilane wala aashique mere mehboob jaisa ho.


---------------------------------------------
Jo kahan tune mujhse maine sun liya, jo kaha bhavre ne wo foolon ne sun liya. Dil se dil juda ho to e dost, baatein alfajon ki mohtaaj nahi hoti.



Atmavishwas

Jab tujhe lage koi nahi saath tere, ker khuda ko yaad aur aaine ko dekh, saath ho koi ya nahi, ek tu aur khuda saath hai tere tu yaad rakh. Jab lage vishwas dagmagane tera, ker khuda ko yaad aur haathon ki lakiren dekh, tere sache karam aur khuda saath hai tere tu yaad rakh.


------------------------------------------------

Panchi ki udaan pe kitni bhi bandish lagale ek bande, gar chah hai usme udne ki to wo raasta bana hi lega.

---------------------------------------------+

Kaash khuda itni si mehar kerde, jo bhi chahe lele mujhse, bus ek man ka sukun aur ek muskurahat badle men de de uske.


When a girl moves from small city to metrocity....

Ek waqt tha jab akele men bhi tanha nahi the, ab hazarob ki bheed men bhi tanha se lagte hain. Ek waqt tha jab khawab men bhi thahake maar ke haste the, ab koi hasaye to bhi honth hi hilte se dikhte hain. Ek waqt tha jab khud ki khoobiyon per guaman kerte the, ab kitni khubiyon ke baad bhi apni galtiyon ko dhoondha kerte hain. Ek waqt tha jab subeh se shaam ho gai baithe baithe, ab bus waqt ko pakadte se dikhte hain. Ek waqt tha jab hazar haath the thamne ko, ab ki bheed men ek haath bhi dhoondte se firte hain. Ek waqt tha jab atamvishwas ka path padhaya kerte the, ab khud men hi atamvishwas khoja kerte hain.